Ehsaas
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
Hindi Ghazal
Tumhari ankhei’n kehti hai’n hisaar-e-zaat se niklo
tamanna meri bann jao shab-e-berbaad se niklo
kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
kabhi sachi hansi hans do’purani yaad se niklo
khal-e-yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
palat ker phir sada na do, dar-e-feryad se niklo
nahi koi mohabbat bhi,hijar rutt bhi, raqabat bhi
to yeh dharka sa kiya kahiye, wehem ki ghat se niklo
sukhan war hum se kehta hai saja lo ankh mein kuch khwab
dharakna dil ko sikhla do, amawas raat se niklo
nahi tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
hamare karb ki choro, tum is gardaab se niklo
sar-e-maqtal jo jate ho, na ho dermandgi kuch bhi
zamana deikh thamm jaye kuch is andaaz se niklo
kuch log…….
kuch log sitam karne ko taiyaar baithe hain
kuch log magar hum pe dil haar baithe hain
is kashmkash main humse pehchane nahi jaate
kahan dushman hain aur kahan dost yaar baithe hain
ishq ko aag ka dariya hi samjh lijiye huzoor
koi is paar baitha to hum us paar baithe hain
kuan kehta hai ki is shehar main saare hain bewafa
humare samne do char wafadaar baithe hain
kal tak jinki hasrat thi hume badnaam karne ki
aaj wahi log apne kiye par sharminda baithe hain
duniya se rooth jaane ki khowaish hai humari
kya karen is khowaish par pharedaar baithe hain
Kheyal e yaar
Tere kheyal ko apna kheyal bana rukha hai
Tere taswer ko aankhon main saja rukha hai
Tere he taswer main MooN milte hi sub se
Warna in Lugon main bhala kiya rakha hai
Tukde jod kar baithe hai……
Sapne saare tod kar baithe hai,
Dil ka armaan chod kar baithe hai,
na kijiye humse wafa ki baatein,
abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe hai…!!
Ankhain dekhi to mein
Ankhain dekhi to mein dekhta reh gaya
jaam dou aur donon hi do aatisha
Ankhain ya maykadey k wo dou baab hain
Ankhain un ko kahun ya kahun khuab hain
Ankhain neechi huyeen to haya ban gayen
Ankhain oonchi huyeen to dua ban gayen
Ankhain uth ker jhukeen to adaa ban gayeen
Ankhain jhuk ker utheen to khata ban gayeen
Ankhain jin mein hain qaid Aasman-o-zameen
nergisii nergisii, surmageen surmaeen
No comments:
Post a Comment