Followers

Search Good Morning Sms Here

Custom Search

Zamane Se Chupa Loon Tujh Ko


Zamane Se Chupa Loon Tujh Ko

Dil to Kehta hai, Zamane se chupa loon Tujh ko
Dil ki Dharkano ki tarah Dil mai basa loon Tujh ko

Koi Ahsaas Judai ka rehne na paye
Is tarah Khood mai Meri Jaan sama loon Tujh ko

Tu jo Roothey kabi Mujh se Mere Dil k Maalik!!
Sari Dunya se Khafa ho ke Mana loon Tujh ko



fasle nahi badhte..

fasle nahi badhte.. insaan badal jaate hai
hume yeh duriya nahi khatakti..
hume to tere dil ka yeh naya bahana nahi samaj aata
samne se keh to dete ho ki humse pyar hai
pur tumhare aakho se kuch aur sandesh aata hai



Mar ke bhi kya bhul payeng unko.

kese keh de ke bhul payenge unko.
pyar hamara tarse ga dekhne ko unko.
jete ji to na BHULA paye unko.
Mar ke bhi kya BHUL payenge unko.



Hindi SMS Shayari

Dost ban kar saare raah mil gaya suraj
Hum itne khush naseeb the
jab thori si roshni mangi to aur jal gaya suraj.

Din beet gaye, raat beet gayi,
subha hogayi har baat beet gayi,
rah gaye bas tumhari ahsaas, aur tumhare saath meri hosh udh gayi…..

hum udaas to nahi bas ayse hi khamosh rahte hai,
hum kisi se juda to nahi bas ayse hi judai ke geet sunte hai,
hum pyaar ke maare to nahi bas ayse hi bewafai pe Vishwaas karte hai,
hum duniya mei akele to nahi bas ayse hi tanhai ko pasand karte hai,
…………………….
…………………….
…………………….
bas hum to mazze me hai isliye shayri likte hai.

Dil mei chupi thi ek baat jo kahe na payi unse
shayad darti thi mei na jane kis se
usne bhi kaha tha kayi baar
par maine hi taal diya bachpan se…
kayi saal baad aaj fir mile hai hum usse
magar kambaqt woh hai bahut door humse



Dosti Shayari

Hasna hamara kisi ko gawara nahin hota,
Har musafir jindagi ka sahara nahin hota,
Milte he bahut log is tanha jindagi mein,
Par koi dost tumsa pyara nahin hota



Paigaam

Gulshan ki bahaaron ne sar-e-aam likha hai
phir usne gulaabon se mera naam lokha hai
behte hue paani pe ye lafzon ke sitaare
shayad mere mehboob ne yeh paigaam likha hai
ye dard musalsal mere dil main rahega
kuch soch kar usne mera anjaam likha hai
neendon ne kaha khuwab se ye hath milakar
kiya apne mukaddar main kabhi araam likha hai
jisne kabhi meri janib murh kar nahi dekha
us shaks ke hathon main mera naam likha hai
RAAHI apni to har raat guzarti hai safar main
aankhon ki zanjeeron pe ye paigaam nlikha hai



Sheher

phoolon ki har kali muskurati rahegi is sheher main
har azeez dilon ki khushi nazar ayegi is sheher main
maa baap ki khushi bhai behen ka pyar
har kisi ka armaan nazar ayega is sheher main
aap ghar ke badhe hain farz baaki hain bahot se
har farz utarta nazar ayega is sheher main
aarzoo thi is aangan ko jo jo aapse poori hogi
kilkariyon ka aks bhi nazar ayega is sheher main
e dost mere tujhe har khushi mubaarak ho
meri khushiyon ka bhi ek phool nazar ayega is sheher main
aarzoo to hai aur likhne ki par koshish na karunga
kiyunki main khud ulajh jaunga is sheher main
aarzoo to tujhe bhi hai per too badnaseeb hai e RAAHI
cha ke bhi too apna na laga is sheher main




No comments:

Post a Comment